Aaj Muhammad Aye Moray Ghar
- Naat Lyrics
- Aug 17, 2019
- 1 min read
Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Ankhon mein maazagh ka surma
Sar par taaj Warafa’na ka
Husn-e-mujassam Allahu akbar
Subh-e-azzal hai Mukhra un ka
Shaam-e-awad hai Zulf ka saya Unse hua har qalb munawwar
Mehndi lagaon ghar ko sajaon
Main angan mein naachon gaaon
Tann mann waaron Unke Charan par
Aao sakhio mill kar gayein
Apne Piya ka jashn manayein Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Rim jhim barse noor ki barkha
Aaya hai mi’raj ka Dulha
Dharti aur aakaash se behtar
Dosh pe youn Gesu lehraye
Bheeni bheeni khusboo aye Rang-o-nighat saara manzar
Amina Bi ka Raaj Dulara
Kitna anokha kitna pyaara
Chaand uttar aaya hai zameen par
Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha
Pohnche jab aflaak pe Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Naghma tha har eik ki zuban par
Tall jaayegi saari musibat
Aa jaye ga dor-e-rahat
Ab to mujhe dekheinge nazar bhar
Anjum bekass Aap ka mangta
Dijiye bakshish jagg ke Data Boond hoon main aur Aap samandar
Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
亚博体育 亚博体育 亚博体育 亚博体育 开云体育 开云体育 开云体育 开云体育 乐鱼体育 爱游戏体育 华体会体育 华体会体育 欧洲杯下注 欧洲杯下注 欧洲杯下注 欧冠下注 欧洲杯外围 欧洲杯外围 开云体育 开云体育 开云体育 亚博体育 欧洲杯下注 欧洲杯投注 亚博体育 亚博体育 亚博体育 开云体育 英雄联盟下注 LPL下注 LOL下注