top of page

Aaj Milaad-e-Nabi Hai

  • Writer: Naat Lyrics
    Naat Lyrics
  • Aug 17, 2019
  • 1 min read

Aaj milaad-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai, kya suhana noor hai, Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai.


Aankh walo aao dekho, mah-e-taiba ki ziya. Asmaan ke chand mein to, pheekha peekha noor hai.


Tu na hota to na hota do jahaan ka intezaam. Tu zameen ka noor hai, tu asmaan ka noor hai.


Jiss ne jo kuch noor paya, sab teri Sarkar se. Toor ki Sarkar ka tu sab se pehla noor hai.


Teri nasl-e-paak mein hai bacha bacha noor ka. Tu ‘ayn-e-noor, tera sab gharana noor ka.


Main gadda tu badshah, bhar de pyala noor ka. Noor din duna tera, de daal sadqa noor ka.


Jis taraf wo uth gayi, alaam munnawar ho gaye. Main teri ankhon ke sadqe, inn mein kitna noor hai.


Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke noor mein hai Zaat-e-baari jalwargar. Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka noor hi kahye khuda ka noor hai.



Aaj milaad-e-Nabi hai, kya suhana noor hai, Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai.

 
 
 

Recent Posts

See All
Faaslaun Ko Takalluf Hai

Faaslaun ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bay bus nahi, bay sahara nahi Khud Inhi ko pukarenge hum door se, raaste me agar paoon thak...

 
 
 
Baqi Sabey Galan Chutiyan Ney Sariyan

Baqi sabey galan chutiyan ney sariyan Heyn sachiyan Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) diya yariyan Nuri mukda tey zulfan ney kaliyan...

 
 
 
Aaj Muhammad Aye Moray Ghar

Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar Ankhon mein maazagh ka surma Sar par taaj...

 
 
 
Join my mailing list

Thanks for submitting!

© 2023 by The Book Lover. Proudly created with Wix.com

bottom of page