top of page

Aagae Mustafa Ki Sawaari

  • Writer: Naat Lyrics
    Naat Lyrics
  • Aug 9, 2019
  • 2 min read

Khaliq Ney Apney Nuur Ka, Jalwa Dikha Diyaa Sab Nuur Ko Mila Kay Muhammad (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Bana Diya


Aagae Mustafa Ki Sawaari Apne Ghar Ko Diyo Sey Saga Loo

Dey Rahey Hain Farishtey Salaami Tum Duruudo Ki Maala Banaa Loo


Aagae Mustafa Ki Sawaari Apne Ghar Ko Diyo Sey Saga Loo


Apney Mangto Ko Wo Paaltey Hain Wo Bhala Kis Ko Kab Taaltey Hain

Sadqa Hasnain (Radi Allahu ‘anhu) O Ghausul Waraa (Rahimahu Llah) Ka Ya Nabi (Salla Llahu ‘alayhi Wa Sallam) Meri Jholi May Daalo


Aagae Mustafa Ki Sawaari Apne Ghar Ko Diyo Sey Saga Loo


Ker Kay Naato Sey Her So Charaaga Youu Manaaey Gay Jashney Bahaara

Aashiqo Aamad-e-Mustafa Hay Deep Khushiyoo Kay Her Suu Jala Lo


Aagae Mustafa Ki Sawaari Apne Ghar Ko Diyo Sey Saga Loo


Waqt chamkey ga aik din hamaarey Dekh lain gay wo dilkash nazaarey

Aap ko jo bhi sab sey hain pyaarey Un kay sadqey may ham ko bula lo


Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo


Jin kay haatho may hay Un ka daaman Naam-e-Ahmad hay jis dil ki dharkan

Jo hay pehchaan hum aashiqo kee Jhuum ker un ka naara laga lo


Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo


Puuray ho jaeingay un kay armaan Ker rahey hain Wo bakhshish ka samaan

Jashne Milaad ki barkato sey Apney Qalbo Nazer Jag maga lo


Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo


Midhat-e-Mustafa hee kay sadqey Hay Moin apney sab kaam bantey

Her ghari zikr ho Mustafa ka Iss ko apna wazeefa bana lo


Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo


Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo

Dey rahey hain farishtey salaami Tum duruudo ki maala banaa loo


Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo

 
 
 

Recent Posts

See All
Faaslaun Ko Takalluf Hai

Faaslaun ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bay bus nahi, bay sahara nahi Khud Inhi ko pukarenge hum door se, raaste me agar paoon thak...

 
 
 
Baqi Sabey Galan Chutiyan Ney Sariyan

Baqi sabey galan chutiyan ney sariyan Heyn sachiyan Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) diya yariyan Nuri mukda tey zulfan ney kaliyan...

 
 
 
Aaj Muhammad Aye Moray Ghar

Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar Ankhon mein maazagh ka surma Sar par taaj...

 
 
 

Comentários


Join my mailing list

Thanks for submitting!

© 2023 by The Book Lover. Proudly created with Wix.com

bottom of page